top of page

kyu Nahi Karte Ho.

By Zulqarnain


- Safar mein ho kabse tum

Mera khayal kyu nahi karte ho


- Mujhe yakeen hai tum yaad nahi karte mujhe

Toh fir is baat par malaal kyu nahi karte ho


- Gaur-o-fikar kiya karo meri maujudgi par

Ilam roz haasil toh karte ho magar soch bahaal kyu nahi karte ho





- Qismat ko itna kosa na karo tum raat din

Aage badhne ke khayal se koi kamaal kyu nahi karte ho


- Siyahkaar toh tha woh, magar ab jo roo pada hai

Yeh shikwe door rakh ke abaad uska bazaar kyu nahi karte ho


- Sad'aa yeh darr laga rehta hai ki koi padhta bhi hai mujhe

Tabhi roz khud ko kehta hu yeh faani duniya chorhne se pehle koi kamaal kyu nahi karte ho.


By Zulqarnain




Recent Posts

See All
रहता है।

By Nandlal Kumar इलाही मेरे दिल के दरवाज़े पे तू बेकार रहता है, माफ़ करियो इस घर में मेरा यार रहता है। उस हुस्न पे नज़र ठहरे तो कैसे...

 
 
 
सरहद पर धुआँ-धुआँ-सा ....

By Nandlal Kumar यूँ हाथ दबाकर गुजर जाना आपका मज़ाक तो नहीं, आज तो रूमानियत है कल मेरा दर्दनाक तो नहीं। ये सरहद पर धुआँ-धुआँ-सा क्यों है,...

 
 
 
चाहता हूँ।

By Nandlal Kumar तुमसे ये बात अकेले में कहना चाहता हूँ, ज़ुल्फ़ों  की नर्म छाँओं में रहना चाहता हूँ। आप कह दिए हैं कि मैं बहुत गमगीन रहता...

 
 
 

Comments

Rated 0 out of 5 stars.
No ratings yet

Add a rating
bottom of page