Ik Raaz
top of page

Ik Raaz

By Malik Shabanam Qayoom


Paani se puchi jo teri ravani

In lakerun se puchi Jo teri kahani

Foolun se puchi Jo bhaag ki sajavat

Kohsar se pucha jo sisla aur banavat

Subah se pucha Jo vo gungunata saaz

Kha shaheen abhi tu nhn usko too rehne doo raaz

Baaz se pucha Jo Nazar ka raaz




Pallah se pucha Jo mithaas ka raaz

Jharne se pucha Jo safar ka raaz

Kha jldi kyun h rehne doo isko b raaz

Pucha jab un se us musafat ka raaz

Poouch rha tha mein jis sohbat ka raaz

Yunhi nahi mujhe unki soonch pe naaz

Boola chup hoo rehne doo na isko b raaz

Imaan se batavun us nazar ka h ye raaz

Jo dikhta mujhe h tujh mein vo humraaz

Mutasir hun tujh se choodo rehne deete h isko b raaz


By Malik Shabanam Qayoom





5 views0 comments

Recent Posts

See All

Love

By Hemant Kumar जब जब इस मोड़ मुडा हूं मैं हर दफा मोहब्बत में टूट कर के जुड़ा हूं मैं शिक़ायत नहीं है जिसने तोड़ा मुझको टुकड़े-टुकड़े किया है शिक़ायत यही है हर टुकड़े में समाया , वो मेरा पिया है सितमग

bottom of page