By Nusrat Jahan
Zindagi haseen nahi hai toh bana lenge
Aasu ko muskan mai badal denge
Khwabo keh ashiyano ko haqiqat mai badal denge
Gir kar phir hausle se khade honge
Zindagi ki shuruat phir se karenge
Thehre hue waqt ko phir se chalayenge
Apno keh liye har parishram se guzar jayenge
Yeh matlabi duniya hai iss mai hum apna naam karke dikhayenge
Ehsaas chahe jaisa bhi ho, jata diya karo.
Bin kahe bhi log bahut kuch keh jaate hai, ek baar keh kar bata diya karo.
Dil mai dabi baato ka izhaar kar diya karo.
Dimag mai chal rahi baato ko zaahir kar diya karo.
Yeh zindagi bahut choti si hai, use yu hi zaya mat kiya karo.
Lafz toh bayaan karne ke liye bane hai, use yunhi bekar mat samjha karo.
Teri awaaz sunne keh liye koi arse se umeed lagaye baitha hai, uski yu hi tauheen mat kiya karo.
Aaj kaafi dino baad kuch likhne ka mann kiya
Kehne ko toh hai bahut kuch mere paas, magar kahu kaise?
Aur agar keh diya toh koi samajh payega?
Agar samajh liya toh koi mehsoos kar payega?
Aur agar mehsoos kar liya toh woh ehsaas aur yaadein yaad rahegi?
Ehsaas aaj hai, kal nahi, waise hi yaadein aaj yaad rahegi kal nahi
Toh jo jaisa hai use waisa hi rehne dete hai
Hum kal bhi anjaan thein aaj bhi anjaan hai
By Nusrat Jahan
I wish I could write like this, this is simply splendid” is another, elevating response that can boost the writer’s morale to continue writing.
Your poems reveal the beauty of your soul, weaving emotions into verses that captivate the heart. Each line is a brushstroke painting a vivid picture, and your words linger like a sweet melody, leaving an indelible impact on the reader's heart.
Your poems reveal the beauty of your soul, weaving emotions into verses that captivate the heart. Each line is a brushstroke painting a vivid picture, and your words linger like a sweet melody, leaving an indelible impact on the reader's heart.
Second verse 🥰 overall great lines. 🙌