top of page

Zakham Iss Dil Par

Updated: Jan 27

By Yash S Jain


Kuch iss kadar se hum majboor ho gaye hai

Apne hi saaye se hum door ho gaye hai...

Jo kabhi rehte the humare seene mai dhadkan ki tarah,

Unhi se bichadne pe hum majboor ho gaye hai


Aakhir yeh kahani hume kis mod pe laayi hai

Tumhari dooriyon ke paas yeh hume  le aayi hai

Kirdaar humara iss kahani ka yahi khatam ho gaya

Aur yeh kisi aur ki kahani tumhare paas le aayi hai



Hum toh adhure reh gaye, tumhe poora karte karte

Reh rahe hain tumhari yaado ke sath darte darte

Naam leke mohabbat ka, churaayi yeh zindagi 

Mar chuke hain hum, tumse aaj bhi pyaar karte karte


Dil par tumhara yeh zakham bohot gehra hai

Chahkar bhi hum yeh bhar nahi sakte

Todkar jo haal kiya hai iss dil ka,

Chahkar bhi hum ilaaj kar nahi sakte 


By Yash S Jain




8 views2 comments

Recent Posts

See All

The Battlefield

By Adil Raziq Wakil Forward. I must keep moving forward. Can’t look back. Can’t change lanes. Forward. I see the end. If only I could...

The Clothes They Left Behind

By Akanksha Patil The Sweater I keep his sweater, frayed and old, A warm embrace on nights so cold. He held me close, I held him tight,...

2 comentários

Avaliado com 0 de 5 estrelas.
Ainda sem avaliações

Adicione uma avaliação
Geetha Jain
Geetha Jain
12 de jan.
Avaliado com 5 de 5 estrelas.

Best

Curtir

Hitanshi Jain
Hitanshi Jain
12 de jan.
Avaliado com 5 de 5 estrelas.

Uff🫶😫

Curtir
bottom of page