Ye Duniya Naami Jagah Hai
- Hashtag Kalakar
- Nov 28
- 1 min read
By Atiya Sayyed
Yahan kaun kiska sagaa hai,
Ye duniya naami jagah hai |
Apno me begangi hai yahan ghairon se badh kar,
Laga hai tumhe hai koi apna, to galat laga hai |
Yahan kaun kiska sagaa hai,
Ye duniya naami jagah hai |
Kehne ko hai yahan masoom sabhi,
Lekin kahin na kahin, kabhi na kabhi,
Har kisi ne zaroor har kisi ko thaga hai |
Yahan kaun kiska sagaa hai,
Ye duniya naami jagah hai |
Logon se rakhna zara kam kam waasta,
Manzil aasaan sahi magar mushkil hai raasta,
Behkaawe kar rahe pichha,
Har qadam har jagah hai |
Yahan kaun kiska sagaa hai,
Ye duniya naami jagah hai |
Kisi se karna mashwara sambhal kar bahot,
Aayenge dushman achanak nikal kar bahot,
Parde me rakhna apni khushiyon ko sada,
Ke zamane ki nazron ka pehra laga hai |
Yahan kaun kiska sagaa hai,
Ye duniya naami jagah hai |
Hua hai kaamyaab yahan bas ek wohi,
Jisne ki apni parwah apne dil ki suni,
Bekhabri ki neend se jo sahi waqt pe jaga hai,
Yahan kaun kiska sagaa hai,
Ye duniya naami jagah hai |
By Atiya Sayyed

Comments