Woh raat hi kya
By Tania Mite
woh raat hi kya jiski subah na ho
sharmayi chand ke sang sitaare na ho
woh bachpan hi kya gar shaitaniyan na ho
khilti gulaab mein jaise khusboo na ho
woh gali hi kya jisme mod na ho
yaaron se guftagu karti mehfil na ho
woh pyaar hi kya agar dil toote na ho
bin soyi lambi raatein na ho
woh mehfil hi kya jisme jaam na ho
guitar baje aur do gazalein na ho
woh dosti hi kya agar mastiyan na ho
tang khichna aur do gaaliyan na ho
woh safar hi kya jisme rukawatein na ho
kahaniyon se bhari yaadein na ho
woh baatein bhi kya jisme bigadna na ho
thodi jhut aur thoda sach na ho
woh jawaani hi kya jismein pagalpan na ho
galtiyon se bhari apni khud ki potli na ho
woh umar ki dehliz hi kya gar samajhdari na ho
kaun apna aur paraya ki pehchaan na ho
woh aasun hi kya jo palkon se chalakta na ho
milne aur bichadne ki daastan bayaan na ho
woh sagar hi kya jismein lehrein na ho
kashtiyon ka doobna sawarna na ho
woh dhun hi kya jisme sur na ho
chai mein jaise adrak ka swaad na ho
woh intezaar hi kya jisme becheni na ho
dhoop mein khada lekin paseena na ho
woh jeet hi kya jismein haar na ho
gir ke shambalne ka mauka na ho
woh zindagi hi kya jismein zid na ho
maut aa jaye par jhukna na ho
By Tania Mite

Comments