Woh Aankhein
- Hashtag Kalakar
- Sep 15, 2025
- 1 min read
By Dr. Ayesha Noorain A
Haan, wohi aankhein —
Jo sukh chuki hain,
Jinmein nazar na aane wali deewarien khadi hain.
Majal hai,
Jo ek qatra bhi un deewaron ko paar kar jaye.
Kabhi dekha hai un aankhon ko?
Jo aansuon se bhar toh jaati hain,
Magar ird-gird ki deewarien un aansuon ko girne nahi deti —
Iss darr se ki koi unhe kamzor na samajh baithe,
Kisi ke haath ke lumps ki aadhi na ho jayein,
Kabhi iss qouf se ki jisko ehsaas dilana chaho, woh be-hiss na ho
jaye.
Aur phir woh paani yun sukh jaata hai,
Jaise sadiyon se pyasa pada registan.
Na jaane woh aansu kahan chhup jaate hain —
Aankhein wapas pee leti hain,
Ya dil mein zapth ho jaate hain.
Woh aankhein,
Haan wohi aankhein —
Jo apna noor kho baithi hain.
Kabhi inhe kamzor samajhne ki bhool na karna.
Ye samandar se zyada gehri hain,
Aur soch se badhkar shaatir.
Samandar ki gehrai naap loge,
Magar inki gehrai ka tasavvur bhi na kar paoge.
Itni shaatir hain —
Ke haal poochhne wale ko gumrah bhi kar dengi,
Aur usse khabar bhi na hogi
Ke ye kis karb se guzri hain.
Woh aankhein,
Haan wohi aankhein —
Jo auron ki tarah dil ka haal nahi zaahir karti,
Balke har ehsaas ko dhaamp leti hain.
Toh, kya dekha hai kabhi un aankhon ko kahin?
By Dr. Ayesha Noorain A

The way you wave words is like magic
👏👏👏
The way you wave words is like magic
Beautiful work as always 💖
Beautiful work as always 💖