Waqt Bhi Uljhi Hai
Updated: Jul 17, 2025
By Ayesha Siddiqua
Duniya itni bhi haseen nahi, jitni logon ne dikha rakhi hai
Hum giraft ho chuke soch me unke, unhone haqiqat chupa rakhi hai
Aree besukoon toh woh bhi hai,
jisne kharbo kama rakha hai
Hunar ko kamyabi or kamyabi ko,
jung ka maidan bana rakha hai
Haqiqat toh wahi hai jo hum jee rhe hai,
chaar diwari ki baatein sabne mehdood hi rakha hai
Jo zahir kar rahe hai ye unki khata hai,
pr unke peeche apna waqt humne gawa rakha hai
Zarurat puri karni hai, toh khudki madad karo, yun bewajah khud ka tamasha laga rakha
hai
Mushkil nahi utna na itna aasaan hai sab kuch,
Par raaste ko kaanton se, humne saja rakha hai
Manzil ki bhi khwahish hai, zindagi bhi jeeni hai,
Par khud ko bekaboo, gumrah kar rakha hai
Sab kashmakash me hai, waqt bhi uljhi hai
Din ko raat, raat ko, din bana rakha hai
By Ayesha Siddiqua

Comments