Unn Becharon Ka Kya Kasoor Tha?
Updated: Jul 18, 2025
By Hitesh Narula
Zameen aur mazhab ki ladai mein,
masoomiyat ne khoon kyun baha?
Galat aur sahi ki pehchan bhi jinhen na thi,
unhone dard kyun saha?
Unn becharon ka kya kasoor tha?
Ghar-ghar mein udaasi chha gayi,
muskurane ka ek bhi bahana na raha.
Dil mein chhupi aasoonon ki kahani,
Unn becharon ka kya kasoor tha?
Har ek roshni bhatak gayi andheron mein,
ummidon ka sahar bhi na raha.
Raat bhar sote the bechaini mein,
Unn becharon ka kya kasoor tha?
By Hitesh Narula

Comments