UMEED
By Shama Afroz
Thak jate hai per mere par mann kabhi na thakta hai.
Mushkile chahe aati kitni fir bhi umeedo se mann mera na palatta hai.
Khamoshi hi toh meri saathi hai tabhi mann mera jagta hai.
Bol bol jab mann thakta hai, Shaant mann mera na jane kesi udane udta hai.
Thak jate hai per mere par mann kabhi na thakta hai.
Dur dur tak jab naakami chaati hai, Tab bhi mann mera suraj ki kirne hi takta hai.
Thak jate hai per mere par mann kabhi na thakta hai.
Ghane andhere me bhi har lamha mann mera khushiyon ki Roshni takta hai.
By Shama Afroz

Comments