Udaan
- Hashtag Kalakar
- Oct 15
- 2 min read
By Sumedha Gupta
Aap kehte the udne ko aasman tera hai
Mujhe lagta tha aap hi mere nahi ho
Fir bhi aapne apna farz nibhaya
Aur mene apna
Mummy ne apna
Bhai ne apna
Sab apna apna farz nibhate rahe
Apni apni bediyon me ek doosre ko jakad kar
apna apna pyar dikhate rahe
Geele takiyon par khud ko sulate rahe
Ke ek din is pinjare se chutkara milega
Duniya ko apni ankhon se dekhna ka mauka milega
Ek aise savere ka sapna khud ko dikhaate rahe
Toote pankh leke usi aasman me
Me udne ki koshish kar rahi hu
Un bediyon ki gaanthon ko samajh kar
Suljhaane ki koshish kar rahi hu
Kuch gaanthe kathin hai
Kholne me hath chil jaate hai
Aur lahu aankho se behta hai
Kya karoon
Puraane ghaav khul jate hai
Jo maafi kabhi maangi nahi gayi
Vo aankhon me dikhti hai
Haan mene dekhne me der ki
Meri bhi galati hai
Me maaf karti hu
Par aapse ek vinati hai
Ab mujhe udne do
Bediyon ko suljhaane do
Duniya mujhe aapse thodi alagi dikhti hai
Aapne jo socha tha
Mera aasman usse bhi zyada bada hai
Pankh aur bhi zyada mazboot
Ye yaatra meri apni hai
Padaav mere apne hai
Seekh meri apni hai
Ab udaan mene bhar li hai
Aur aapse ab bandhan ki nahi
Sirf garv ki umeed hai
Mujhe pinjare me vapas mat bulana
Mujhe vo deewaren kuch bhaati nahi hai
Maine ek naya savera paaya hai
Jisne mujhe ye samjhaya hai
Ke mere pankh toote zaroor hain
Par bade rangeen hain
Aasman me jab ek chitr sa bana dikhe
Toh samajh jana
Voh sundar rang bhi
Aap ki hi den hain
By Sumedha Gupta

Comments