top of page

Tum Tak

By Nasheed Asad


Ek baat hai jo roz zubaan par aati hai lekin kabhi bayan nahi ho paati. Ek chahat hai jo roz aag ki tarah bhadakti hai lekin kabhi bujh nahi paati. Ek chehra hai jo roz meri aankhon ke saamne baar baar aajata hai, kabhi lupt nahi ho paata. Ek dil hai jo har waqt tere liye dhadakta hai kabhi ruk nahi paata. Main ye to nahi kehta ki main tumhare liye chaand taare todke le aaunga, bohot door hai na aur itni lambi seedhi bhi nahi mere paas. Haan, itna to zaroor kehta hoon ki jitne aasmaan me taare hai unse kahin zaada pyaar main tumse karta hoon aur karunga. Main ye bhi nahi kehta ki main tumhara naam aasmaan me badal par likh dunga, haath nahi jayega na mera par itna zaroor kehta hoon ki iss dil par tumhara aur sirf tumhara naam rahega hamesha. Main ye bhi nahi kehta ki main tumhe duniya ki har khushi dunga par itna waada zaroor hai ki kuch bhi kar jaunga ek tumhari khushi ke liye. Main ye bhi nahi kehta ki main tumse kabhi jhagda nahi karunga kyunki agar jhagda nahi kiya to mujhe tumhare kareeb aane ka bahana nahi milega. Main ye bhi nahi kehta ki koi tumhare liye dua na maange, main to bas itna chahta hoon ki koi dua me tumhe na maange.



Main ye bhi nahi kehta ki main tumhara hamesha saath nibhaunga, haan magar itna waada zaroor hai ki jab tak zindagi hai tere liye hai tere saath hai. Main ye bhi nahi kehta ki agar tum mil jao zamana chod denge hum, kyunki mera saara zamana to tumse hai. Main ye bhi nahi kehta ki tere bin marr jaunga par itna zaroor kehta hoon ki ek tere bin jee bhi nahi paunga. Main ye bhi nahi kehta ki main waqt ke saath nahi badlunga, itna zaroor kehta hoon ki har waqt har pal har ghadi mera pyaar tumhare liye badhta jayega kabhi kam na hoga. Mohabbat kya hoti hai ye to main nahi janta lekin haan, tumhare liye dil se dua zaroor nikalti hai tumhari aankhon me kabhi aansoon na aaye. Hamesha hasti raho. Ab ise mohabbat kaho pyaar kaho pagalpan ya mere dil ki dhadkan, mere liye ek hi baat hai. Pyaar to bohot log karte hai lekin mere jaisa pyaar koi kar hi nahi sakta kyunki kisi ke paas tum jo nahi ho. Aur haan dil ki khwaish to ek hi hai, zindagi ho to tumhare saath ho aur maut ho to tumse pehle ho. Bas. Bas itna hi hai tumse kehna.


By Nasheed Asad




Recent Posts

See All
Laughter is Art

By Jacob James Grigware an art that, once mastered, can serve the artist in the most valuable of ways. It’s an art that can get you what you want. It’s an art that can create formidable bonds, not onl

 
 
 
It Wasn't Me

By Sonia J Arora Episode 1 Characters Harrison : Male, 60yo. Dean of a renowned university in Singapore and a friend of Sherlock  Lina : Female, 55yo. Harrison’s separated wife Steve : Male, 50yo, Har

 
 
 
Through the Stained Glass Window

By Chloe Maria Pyrsos I look for you through the stained glass window. I look to remember the moment you left. I reminisce in the before as much as I am alone in the after.  Our house has turned cold

 
 
 

Comments

Rated 0 out of 5 stars.
No ratings yet

Add a rating
bottom of page