The soul of love ( rooh-e-ishq)
By Ajaz Ahmed
Tum Pai ilzaam-e-ishq tha toh giraftar krr liya Talab-e-deed thi muddat se ajj dedaar krr liya
Khawabon mai lub se lub toh milay hain bahut baar Haqikat mai jo milay toh bhosa-e-ruksaar krr liya
Muje yakeen nahi tha Ishq zindagi barbad krta hai Tumhari aankhon Mai jub dekha toh aitbaar krr liya
Ak awara baaz jo tha shikaari har hussan kaa Tumhari nigah-e-noor nai who bhi shikaar krr liya
Suna hai tum bikk jatay ho bss doo meethay bool pai Who AJAZ jo shayar tha tum nai apna kharidaar krr liya
2
Uss bawafa ka lafaz-e-zubaan badal gaya Muhabbat ka frr yuh gulistaan badal gaya
Who tou madhoosh Tha auron ka Daman ma Mere liye tou ak pal Mai jahaan badal gaya
Who tou gaya akhir Jana hi tha usko Jate jate Meri barsoon ki dastaan badal gaya
Ab shub,shair,dhupair sub ak maanid hai Yuh lag Raha muje yeh asmaan badal gaya
Mai usko doondnai nikla Jo raahoon Mai Who zalim apne paaon ka nishan badal gaya
Mane usko khuda Mana tha mazheb-e-ishq ka AJAZ” who kafir dekh tera bhi imaan badal gaya
3
Yeh teer-e-ishq jane kab kamaan se nikl gya Masoom dil har’badha ke ashiyan se nikl gya
Muhabbat kitni hai tumse jata hi diya bil’akhir Naa chahate huai bhi jane kse zubaan se nikl gya
Imtihaan dr imtihaan yeh asool hai ishq ka Mai jaahil jane kse hrr imtihaan se nikl gya
Kiya ha kufr bhi shirk bhi tuje khuda maan ke Maine sajda kiya tujhe mai Imaan se nikl gya
Muhabbat wafa qurbani hain chand alfaaz duniya meri Ksi se wasta nhi mai duniya ki dastan se nikl gya
Alfaazon mai zinda ha naam tera ab bhi AJAZ Who alg baat hai tu roog-e-ishq mai jahan se nikl gya
4
Baad-e-saba uddha ke sath yaad unki layi hai Sher-o-sukhan mai liptii fariyaad unki layi hai
Shukr-e-sitam pai likhai hain mehboob nai fasane Dar-e-yaar pai who saari rudaad unki layi hai
Sadhmon kai teer lagai hain kitne rooh-e-yaar pai Hai kalam-e-haq sai likhi joo tadaad unki layi hai
5
Badal Raha hai rang asmaan Jane kyu Har parinda Chahta hai unchi udaan Jane kyu
Badal rahi hawaayan mizaaj is qadar Veeran ho Raha yeh Jahaan Jane kyu
Khander sa ho Gaya Mera makaan Jane kyu Karobaar-o-nafrat ki khul gyi dukaan jane kyu
Udaasiyon ka moosam hai is qadar chaiya Har Gali muhalla lag Raha shamshaan Jane kyu
Hua nafratoon ki Jung ka Elaan Jane kyu Rishtoon Mai aa gyi yeh chataan Jane kyu
Jub sai Mili kalam gum hai apni duniya Mai Ajaz” bhool gya chlana teer-o-kamaan Jane kyu
6
Tu sawal-e-ishq aur mai tera jawaab nahi Tu ilm-e-ishq aur mere pass kitaab nahi
Muje mere hi khawabon se hai nafrat kyu ? Tu tabeer hai aur tera mai khawaab nahi
7
Tum ko tum hi sai churaya hai tumhe khabar nhi Laboon sai palkoon tak sajaya hai tumhe khabar nhi
Tumhare ghum ka jaam pee Kai jaana
Humnai tum ko hasaya hai tumhe khabar nhi
Khayaloon Mai seena sai lagaya hai tumhe khabar Nhi Tumhare Dil ko ishq pai manaya hai tumhe khabar Nhi
Suna ba’chain ho neend bhi gayab hai Tumhari Muhabbat nai ratoon ko jagaya hai tumhe khabar Nhi
Kis ghum nai sataya hai tumhe khabar nhi Kyu chiraag-e-khushi bujaya hai tumhe khabar nhi
Yeh meethi baatain sun krr sub raaz khool Diya Ajaz “ nai kis jaal Mai fasaya hai tumhe khabar nhi
8
Tu dard Teri dawa hu Mai Tu saans Teri hawa hu Mai Yuh dar-badr Kai na illaaj lai Tu roogh teri shafa hu Mai Tu ghoor krr zra muj ko Jaan Tu ishq Teri wafa hu Mai Tu Jaan krr kyu Nahi jaanta Meri Jaan tuj sai khafa hu Mai Mukaam apna aa Jaan la Tu yakeen Tera dagha hu Mai Inteha-e-zulam tu nhi janta ?? Tu zulam tera gawah hu Mai Ajaz naam ab na pukarana Taraq-e-taluq krne laga hu Mai !
9
Intezaar-e-yaar ka ab mje intezaar nahi
Deedaar-e-yaar ka bhi ab talabgaar nahi
Qaiday ishq kai whe rkho majnu ka daur Kai Daur-e-jadeed kay ishq pai mje Aitbaar nahi
Mai waqaf kr’doon zindigi mere yaar ki khatir Baki jahaan Mai main ksi aur ka tabedar nahi
Nazrana-e-ishq Mai paish bhi krr deta zindgi Prr who bewafa ab iss ka zra bhi haqdar nahi
Uss bawfaa, gustakh-e-ishq ko batana yeh tum zroor Kai sacha ishq hota ksi ki wafa ka talabgaar nahi
Mere bss Mai hota tou bhula deta kbka usai AJAZ Majboor hoon Kai meri rooh pai mera ikhtiyar nahi
10
Koi ghurbat mai tou koi sakhawat Mai mrr gya Koi sajdoon mai srr kata kai ibadat mai mrr gya
Mujrim ka sar buland ‘daulat kai zoor pai Maasoom umeed-e-insaaf mai adalat Mai mrr gya
Aur jis nai kasam khai thi insaaf-e-haq ki dekho Who kanoon-daan jhuthi wakalat Mai mrr gya
Jo rishta muhabbat ka mera subse paak tha Jaana tere ishq ki Gandii siyasat mai mrr gya
Majnu ki zindagi sai mila yeh ishq ka sabaq Wafadar bawafaon kii bagawat mai mrr gya
Tumhe jan’na hai kyu tumhe Mai qatil bulata hun Tou suno mera dil tumhari kafalat mai mrr gya
Ghalib ko padh kai bhi agr kalam uthataa naa ajaz Hota ilzaam murshad ka mai jahalat Mai mrr gya
11
Musanif nai naya baab rusva’ii mai likh diya Aanso se dard-e-zindagi tanha’ii mai likh diya
Rooh-e-ishq aur raaz-e-raaz mai dafan Hain raaz kaii Kisi raaz se hata na parda itni gehra’ii mai likh diya
By Ajaz Ahmed

Comments