The Guy Next Door
By Nasheed Asad
Gali gali me hai mera naam,
Gali gali hoon main badnaam,
Main insaan nahi haiwaan hoon,
Khud ka hi abhimaan hoon,
Raah chalte parindo ka darinda hoon,
Apne apraadho pe naa sharminda hoon.
Pehchana mujhe?
Arre main hoon aapka apna,
Aapka apna Rapist.
Kya ukhad liya tumne mera,
Candle march aur protests karke.
Main to aaj bhi khula azaad hoon,
Na hi tumhara kanoon badla hai,
Na hi badle hai hum.
Ye silsila barso se chalta aaya hai,
Aur chalta rahega,
Kyunki,
Kanoon mera hai, main kanoon ka nahi.
Main chahoon kisi ko bhi apna shikaar bana loon,
Fark nahi padta 3 mahina ki bachhi ho ya 60 saal ki budhiya,
Fark nahi padta jeans me ho ya burkha me,
Fark nahi padta Mandir me ho ya Masjid me,
Fark nahi padta fir chahe insaan hi ho ya jaanwar,
Kyunki,
Main rapist hoon, meri dusri koi jaat nahi.
Jaante ho hamari jaat sabse zaada idhar hi kyun paayi jaati hai?
Auron ke yahan to maut ki saza hai,
Hamare yahan hi sirf maza hai.
Isiliye,
Main yahan apni haiwaniyat karta rahunga,
Tum apna insaaniyat saabit karte rehna,
Main ek aur Nirbhaya, Asifa, Priyanka ko jalaunga,
Tum bas mombattiyan hi jalate rehna,
Na rok payega koi kanoon tumhara,
Na hi rukunga main,
Main phir balatkaar karunga,
Koi mera ghanta kuch nahi ukhad sakta,
Har baar ki tarah tumhara hi kanoon bachayega mujhe,
Kyunki,
Kanoon mera hai, main kanoon ka nahi.
Kab khaulega khoon tumlog ka?
Kab tak kanoon ke bharose baithe rahoge?
Kya pata kanoon tumlog ke bharose baitha ho.
Hamein apne wajood se mitana hai agar,
Awaaz uthane se acha hai kanoon uthao magar,
Tumse naa ho payega.
Isiliye main darta nahi kisi se,
Na tumse, na tumhare kanoon se, na hi uss khuda se,
Kyunki,
Kanoon mera hai, main kanoon ka nahi.
By Nasheed Asad

Comments