Tere Aane Se
- Hashtag Kalakar
- Oct 27
- 1 min read
By Dr. Mamatha Suthar
Main toh chali thi rahein dhoondhti,
kuch armaan liye, sapno ke tale.
Thi feeki si, bujhi si hasi meri,
na jaane kab yeh muskurahat khaas ban gayi —
Tere aane se.
Khulti na thi aankhein subah ho jaane se,
na hoti koi wajah yunhi bahar jaane se.
Jabse tere saath jud gaye raste mere,
tabse sanwar gaye har din mere —
Tere aane se.
Tha har mausam bejaan meri zindagi mein,
tere saath baithkar waqt jo guzaara,
dhoop mein nami dikhi, barish mein bikharin boondein,
sardiyon mein bhi pyaar ki laali utri —
Tere aane se.
Laga tha ki main bas ek insaan hoon sabki tarah,
tujhse milkar mehsoos hua — main bhi kisi ki jaan hoon.
Tu jo paas aaya, sab kuch badal gaya mere andar,
tu ban gaya itna khaas, ki baaki sab ho gaye paraaye —
Tere aane se.
Na tha vishwas kisi pe itna,
na thi zindagi se koi ummeed,
par jabse tune mera haath thaama,
har dard ka matlab kho gaya tere hone se,
dharkan bhi jeene lagi —
Tere aane se.
By Dr. Mamatha Suthar

Comments