Tawaif
Updated: Dec 2, 2022
By Kalp Raichura
Aapne humein ek raat ka bhool bataya, humnein kuch na kaha, phir humaare jism ko khareeda, humaara pesha hai, humnein kuch na kaha, har woh hadein paar kari aapne jinko paar karne ki ijazat paiso se bhi nahi khareedi ja sakti, humnein tab bhi aapko nahi roka,
par aaj toh aapnein un hadon ko bhi paar kar diya, jism tak toh theek tha, humaari rooh ko to baksh dete. Gustakhi maaf par, yeh kya keh diya? Aise kya kar diya humnein ke, aapnein humein bayhaya keh diya?
Sirf humaare jism se kapde utre the? Arey aap bhi toh madhosh the
Sirf humnein hi apna sauda kiya tha? Arey aap bhi toh jismfarosh the.
Girebaan samajhte ho sahab? Jo mel hai aapke girebaan mein usko undekha karte rahe hum, humaara pesha hai. Bay haya hote agar, toh aapka haya se tarruf karaate, aapke girebaan mein chuupi aapki galtiyan ginwaate. Apni biwi bacchon se chhup chhupa ke jo aap yahan aate hai, Itna zaleel mehsus kar rahe hai, kya batayen, agar bay haya hote toh aapke girebaan ko hum aaj paak kar jaate.
Paiso ke badle apna jism bechte hai hum, par humaari rooh pe aapka koi haq nahi.
Humaare jism pe ek bhi kapda nahi tha, aapne humnein jiss nazar se dekha, humein laga ke humaari rooh ko koi dherre dheere nanga kar raha hai, nochh liya aapne humaare andar bachi hui masoomiyat ko, noch liya humaara zameer, humaara qirdaar, humnein kuch na kaha, par aaj toh aapne hadd hi kardi. Yeh kya keh diya? Aisa kya kar diya humnein, jo aapne humein bay haya keh diya?
"Nahi"
Bas itna hi toh kaha tha humnein, mushqil kya tha samjhna?
"Nahi"
Shayad aapko sunaai nahi diya hoga, humaari cheekhein bhi kahan sunaayi di thi aapko.
"Nahi"
Hadein samjhte hai sahb? usool samajhte hai? Dard toh samjhte hi honge?
Nahi?
Accha toh matlab yeh hai ki aapko, aapko is shabd ka matlab hi nahi pata.
Agli baar aao toh thodi sharm leke aana, ye bazaar ho sakta hai, jismon ka vyapaar ho sakta hai par humaare peshe main izzat nahi bechi jaati.
ye auratoñ meñ tavā.if to DhūñD letī haiñ
tavā.ifoñ meñ inheñ aurteñ nahīñ miltīñ
Meena naqvi
By Kalp Raichura

Comments