"Tamanna..."
By Abhishek Tripathi
Mujhe yaad hai ki ek dafa tum apna dupatta chode gai thi...
Mai nakaar dia karta tha, aur tum yun hi roz pooch leti thi…
Mere bistar mein tumhara dupatta kahin kho gaya tha...
Tumhari meri tarah hi meri chaadar se lipat kar so gaya tha...
Kaash fir se tumhara kuch mere ghar mein kho jae, yahi darkar hai...
Kyun ki aaj bhi wo tumhari khushbu mere jehan mein barkarar hai…!
By Abhishek Tripathi

Comments