Subah
Updated: Aug 2, 2025
By Samarth Anand
Roz ek nayi subah hoti hai
Apni jang khud ladni padti hai
Chahe jaisi bhi ho zindagi
Ye khushi se jeeni padti hai
Koi bada ya chota nahi hota
Ye waqt hai jo kabhi seedha nahi chalta
Zindagi kabhi haseen hai
To kabhi bohot mushkil
Yaha sambhal ke chalna padta hai
Aur sambhaal ke rakhna padta hai apna dil
Roz apne aap ko khush rakho
Kyunki tumhe khud ko sambhaalna hai
Tum khud ko samajh jao
Baki sab to ek fasana hai
Har lamha tumhara hai
Magar saath kuch bhi nahi lekar jaana hai.
By Samarth Anand

Comments