Sone Ki Kalam
By Rishika Agrawal
Aankhein moondkar soye the
Jagne par ek ehsaas hua
Neend bhari raaton mien
Zindagi par vishwas hua
Kyun khudko chodkar
andhere mein chale jate hain
Kyun sote sote zindagi
Ke pal gujar jate hain
Suraj ki kirano ke saath
Hui ek alag si chuban
Maanlo kehti ho
Utho aur jakar dekho darpan
Mez par rakhi kalam jaise bulane lagi
Apni ehmiyat muje yaad dilane lagi
Usi kalam ko lekar Chal padha main
Uss disha mein jahan Mera koi nahi tha
Jab kaagaz par kalam ki
Hui dastak
Sona ugla mere mann ne har gam bhulakr
Shabdon ka gehra asar
hua meri ruh par
Aankhein namm si ho gayi
Dil ki dhadkan tham si gayi
Mann shaant aur saral ho gaya
Kalam ne apna jaadu dikha hi diya…………..
Jo baatein antarmann ko rulati rahi
Wahi kaagaz par utarkar maan ko behla gayi
Himmat ek anokhi aayi
Sone ki kalam mein mujhe meri dost nazar aayi……………
By Rishika Agrawal

Comments