By Abhilasha Arya
Maa bht yad aati ho
Jab dard se kahrah re
Hoti hu
Najre aas paas phirati hu
To maa bht yad ati ho
Mai hu laprwah
Khud ka khyal
Ni rakh pati hu
Par tumhare tane
Bhi dawa se lagne
Lagte ae mujhe ab
Maa bht yad aati ho
Duniya bht matlbi
Hoti ae
Hath to bht age ate
Ae
Aopcharikta bhrpur nibhate ae sb
Par ashas apna sa
Kha se laaun mai
Jo tum sa pyar koi
Jata de
Wasa koi ni yha
Maa bht yaad ati ho
Kal doctor ne pyr
Se hath rakha ta sir pe
To tumhari yad aa gyi
Kuch log aye te pas
Kaha thik ho jaogi
Itna sun ke hi
Man ko mili aas
Aur smjh aya tum ho
Kitni khas
Kal sbke liye khana
Bnane ki jid kri maine
Tumhara ni socha
Apna bhi ni
Baki sbka sochne
Lagi
Kya kru tum dono
Ka asar ae
Sbke bare me sochne ka
Khud ko bhul ke
Bhala krne ka
Kuch asa e apna
Usool ae
Bhuk lgi ae
Par rashan ni ae
Dukan ae
Par jaan ni ae
Khana bnana to
Ata ae
Par himmat ni ae
Light bhi chali gyi ae
Aur pure floor pe koi ni ae
Ghari ke kante
Shor kr re ae
Khamoshi itni ae yha
Mano mujhse bate kr re ae
Dost kayi bnae maine
Tab bhi aaj bhi
Càll tab bhi ghumaya ta
Aaj bhi lagaya ta
Par halat wae aj bhi
Kisi ko bulane ke liye
Phir sochna pad ra ta
Bura waqt aur bure halat
Aksar sae insaan ki pehchan
Kara deta ae
Bharti hone ke liye
Ladies ki jarurat ti
Mere pas phir se koi nam ni ta
Phut phut ke Rona aa ra ta
Par nurse ne dant lga di
Natak sa bta Rahi
Use kya pta dard
Pet se jyada dil me
Ho ra ta
Shant padi leti rahi
Dwa injection sab ho gya
Pani ki bottle lag chuki ti
Abki bar maine kuch awaj ni kiya
Kynki pet se jyada
Dard dil me ho ra ta
Wo har bond tapakti Hui
Tumhari yad dila ri ta
Last bar ki tumhari baate
Meri Kano me mano
Goonje lga ri tiq
Jab ghari ki suiyon ko
Mai ghoor ri ti
Aur mere antarman
Me sare sawal ko
Tum Yun tatool ri ti
Ek Jadoo jo tumne
Bina kisi Chari ghumaye
Kr diya tha
Ek sir aur ek mam
Do doctor teen char nurses
Pharishte ban aye te
Dard ko to Rahat mili
Par dar reh gya
Sach kahu kuch ghanto
Ke dard ne phir se
Jindagi ka matlab
Matlab ki jindagi
Sikha diya
Khud ki care
Aur khud se mahobbat
Hona sarvapratham ae
Ye aj phir se smjh aa gaya
By Abhilasha Arya
Comments