top of page

Salaam (A tribute to attack victims and their families)

By Atiya Sayyed


Ab seenon mein dil nahi pathhar dhadakte hain,

Chhupa ke khanjar hathon me dost gale lagte hain |

Badal liya hai zamane ne rang ab is qadar,

Ke insaan ke chehron mein chhup kar haiwaan panapte hain |

Ab seenon mein dil nahi pathhar dhadakte hain,

Chhupa ke khanjar hathon me dost gale lagte hain |



Rehte hain hum ek aise samaaj me, 

Jo kehne ko to jee raha hai aaj me,

Lekin zulm ke khilaaf aawaz uthane ko, 

hum aaj bhi gunaah samajhte hain |

Ab seenon mein dil nahi pathhar dhadakte hain,

Chhupa ke khanjar hathon mein dost gale lagte hain |



Afratafri machti hai har taraf har taraf shor uthta hai,

Tabahi ki  ek zara si chingari mein beshmaar ghar sulagte hain,

Lekin apna bhi ghar jal na ajaye kahin, 

ye soch ke khudko log khamosh rakhte hain |

Ab seenon mein dil nahi pathhar dhadakte hain,

Chhupa ke khanjar hathon mein dost gale lagte hain |



Beqasoor the wo phool jo murjha gaye waqt se pehle ,

Lekin nafraton ki aag mein aksar masoom hi jhulaste hain,

SALAAM hai un nam aankhon ko, SALAAM hai un kaanpte haathon ko,

Jo murda jigar ke tukde seene se lagaye tadapte hain,

Wo zinda to hote hain magar,

zinda rehne walon ki tarah na phir rote hain na phir haste hain |

Ab seenon mein dil nahi pathhar dhadakte hain,

Chhupa ke khanjar hathon mein dost gale lagte hain |


By Atiya Sayyed


Recent Posts

See All
एक विचारू

By Mohini C. Halarnkar विठुराया एक विचारू      सांगशील का मला ? युगान युगे उभा आहेस   वेदना नाही होत तुझ्या पायाला? कटेवरचे हात          खाली घेतच नाहीस विराम म्हणून पण         थोडा बसतही नाहीस l राज्

 
 
 
पाठीशी

By Mohini C Halarnkar स्वामी माझे असता पाठीशी  तमा मला कशाची ? हवे तुम्हा ते गेलात घेऊन  कशी दाखवू घालमेल मनाची ? खडतर माझा प्रवास आता परी हाक तुम्हा मारिते l तुम्हीच म्हणता स्वामी समर्था विधीलिखितात

 
 
 
ती येते रोज

By Mohini C. Halarnkar साांज माझी वेगळी ग कवाडातून खुणावते मजला l मी म्हणते मग थाांब जराशी दिवा लावते ग िेवाला l दिवा मग मी लावते पटकन ती हसते मला बघून खुिकन l आवरा आवर माझी बघते िडून म्हणते ये ना ग आ

 
 
 

3 Comments

Rated 0 out of 5 stars.
No ratings yet

Add a rating
Nazim Shaikh
Nazim Shaikh
a day ago
Rated 5 out of 5 stars.

Very very nice

Like

Anjum Shaikh
Anjum Shaikh
a day ago
Rated 5 out of 5 stars.

Haqiqat hai

Like

Rated 5 out of 5 stars.

Amazing ansuu agae ankh mai

Like
bottom of page