Raahi
- Hashtag Kalakar
- Dec 11, 2025
- 1 min read
By Aysha Bilquees
Dil ko dil se raah to hai
Usse meri parwah to hai
Thak jaaye jab duniya se
Meri soch uski panah to hai
Iqraar kare vo khilwat mein
Wahan par bhi Khuda to hai
Lab khamosh rahe uske
Shukr uski nigaah to hai
Mera ghar hai milo door kahin
Chalo sajdon mein panah to hai
Mai aagosh me uski kho jau
Magar vo na-mehram or ye gunaah to hai
Usne badal lia thikana apna
Magar uske daftar ka pta to hai
Mai thak jaati safar me Magar
Mere saath mera khuda to hai
By Aysha Bilquees

Comments