Pinjre Ka Panchi Kahe Aurat Ki kahani
By Rishika Agrawal
Sooraj ki kirano ke saath janma
Bankar ek panchi main
Bade se pedh ki choti se daali
ke ek ghosle mein
parr phelane ki taakat thi nahi
maa ke saaye mein zindagi khili
uski chonch se meri chonch tak
bas yahi thi meri duniya tab tak
roz neele gagan ko niharta main
apne parr phadphadata main
ek din udhna seekh liya
ambar se dharti ko nihaar liya
achanak kahin se aaya jaal
pakad liya mujhe diya pinjre mein daal
logon ke liye numaaish
ban gaya ek pal mein
parr kaat liye gaye pal bhar mein
aaj aasman ko dekhkar mann chalta hai
bhala kya panchi bina udhe reh sakta hai??
Ruh meri roti hai sisak kar
Ankhon mein aansun bharkar
Koshishe kar ke thak jata hun
Par pinjra tod ke udd nahi pata hun
Yahi kahani uss aurat ki hai
Use nahi samajhne wale logon ki hai
Beti bankar jo udhna seekh jati
Bahu bankar sirf rasoi sambhal pati
Parr kate panchi ki tarah reh jati
Apne hunar ko aasmanon mein nahi pahuncha pati…………..
Kyun hamare parr kaat liye jate
Kyun jeevan ko humse cheen le jate
Eeshwar ne jab vardaan diya
Toh kyun nahi parr kaatne walon se sawaal kiya?????
By Rishika Agrawal

Comments