top of page

Pehla Ishq

By Muzammil Bari


Wo jis ne mera sukoon chhina

Wo shoq chanchal hai ek hasina

Usi ka qissa suna raha hoon

Main raaz dil ka bata raha hoon

Wo jis ne needein bhi meri looti

Usi pe sub kuch luta raha hoon


Wo meri chahat se bekhabar hai

Wo meri haalat se be-asar hai

Usi se kyon dil laga raha hoon

Usi ka qissa suna raha hoon





Use main kuch bhi na keh sakunga

Magar main chup bhi na reh sakunga

Yaqeen dil ko dila raha hoon

Usi ka qissa suna raha hoon


Main uska daman khushi se bhar du

Main jaa meri uske naam kar du

Main khwab aise saja raha hoon

Usi ka qissa suna raha hoon


Wo jaan hai meri ye wo na jaane

Wo bus mujhe apna dost maane

Main nam jiska chupa raha hoon

Usi ka qissa suna raha hoon


By Muzammil Bari






Recent Posts

See All
Can You Hear Me

By Lala Earth’s Cry for Help [Verse 1] I used to wear snow on mountain peaks, Breathe clean winds and frozen creeks. Now my skies burn with a silent scream, And oceans boil in a shattered dream. [Vers

 
 
 
सोच रही होगी तुम ऐसा

By Surjeet Prajapati सोच रही होगी तुम ऐसा मैं जी लूंगा तुमसे बिछड़ के पर सोचा मैं न हूँ वैसा आवारा दिल है मेरा हटके जी ना पाऊँगा मैं बिछड़...

 
 
 
मेरे मौला इतना सा कर दे

By Surjeet Prajapati मेरे मौला इतना सा कर दे जो कटे, संग उसके सफर दे….…  गलतियाँ तू मेरी माफ कर दे, बस सके, संग उसके तू घर दे… .  मेरे...

 
 
 

Comments

Rated 0 out of 5 stars.
No ratings yet

Add a rating
bottom of page