Peheli Baarish
By Tania Mite
Tap tap karke aayi wo
jagane mujhe mere chat pe
shayad peeni thi use bhi
garam chai peheli baarish ki
badi taazgi thi hawa mein
patte bhi jaag uthe the
shabnam ki boondon mein dhulke
wo saare saj sawar rahein the
dharti ne bhi shayad
lagayi thi itr mitti ki
jiski khusboo meri khidki se
bhitar kamre mein jhaank rahi thi
Aankein moond kar maine bhi
liya majaa peheli baarish ka
nazre tike the baadlon par
kambhaqt paav kichad mein pad gaya
Aksar main sochun ye baarish ki boondein
kya kahani dur pardes ki laayi hai?
Ya yuhin bhatak rahi hain ye boondein
kya inhe kisi ki taalash hai?..
By Tania Mite

Comments