Parth-Ek Anukt Bhaav
Updated: Jun 1, 2023
By Shreya Sharma
Mahabharat ke is prashn mein, tha paandavon ki neev mein,
Dharm-adharm ke prashna mein, tha dharm mein sanlagn mein.
Vishwa ka bhale hi Arjun, par Madhav ka hun Parth mein,
Ye Gaandivdhaari daas uska, jo krishna hai Parmarth mein.
Indraputra dhanordhaari, Rajmata Priya mein,
Fir bhi janm se raha sanyasi, esa tha kshatriya mein.
Eklavya ke angoothe ki, Dakshina li guru Drona ne,
Kyuki… Vachan baddh the vo, rajguru ki yoni mein.
Iske liye bhi Vishwa se, mein swa-saamarthya pe kalank khaya hun,
Lakshya-grah, dyut-sabha jese shadyantra bhi mein paaya hun.
Par gila karun kisi se kya, swa-janon se chot khaya hun,
Fir bhi kisi ko lekar apne, man mein rosh na laya hun.
Jyestha bhrata Karn sa, jo poojniya mere liye,
Par Niyati ka kuchakra hai, jana antime samay mein ye.
Par… Bhai ko jaan ke bhai, spardha tune tab bhi ki.
Aur khud ko Shrestha batane ki, har mumkin koshish tune ki.
Haan… Sajaya meine rath pe apne, Krishna Hanuman ko,
Par yoddhaon ke yuddh mein, na ladaaya tha Bhagwan ko.
Nih-shashtra Krishna ka chunaav niswarth prem parinaam tha,
Mujhe haar-jeet ka bhay nhi, bas apne Madhav ka hi dhyaan tha.
Tha mauka kauravon ke paas bhi, maangne ka Madhu-sudan ko,
Par maakhan laalach mein Duryodhan, ganva betha Makhan-chor ko.
Mein toh bas ek nimitt tha, ye leeladhar ki leela thi,
Sab adharmiyon ka naash kar, unhe dharm-sthapna karni thi.
Bheeshm, Drona, Karn swayam, Hoke maharathi, gyaani, dharmi bhi,
Adharm ka hein sath dete, liye galat paribhasha dharma ki.
Is bhram mein tha adharm socha, main aaj jeet jaunga,
Dharma se saalon ki haar, main aaj pachhad jaunga.
Tha bhoola vah is baat ko, teen dharma-stambh hi uski aasha the,
Par vo bhi the nakaam kyuki, saamne swayam dharm-paribhasha the.
Han manta hun krishna bina, ye yuddha chalta do din nhi,
Par jo swayam hi karta hai, vah rehta kese vilagn hi.
Tathya yah ek satya hai, nishchit… Yoddha Karna tu nipun tha,
Par shresthta ki hat liye hi gyaan tera Sampoorn tha.
Gar gyaat hota pehle mujhko, ki tu hi jyesth bhrata hai,
Na dene deta vachan tujhe, kyuki Kunti teri bhi maata hai.
Fir dekhta main kese apne, bhraat tu hai maarta,
Shrestha banne ke is yuddha mein kahin aur dharma na tyaagta.
Shrestha tha tu sarvada hi, ye mujhe sweekarya hai,
Kyuki banu mein uttam sarvatha hi, yahi mera kaarya hai, mere Madhav ka ye saar hai.
Samjhaya toh Krishna ne tujhko bhi, ki chhod de ye adharm-path,
aur mod le apna tu rath.
Par Vandniya ke kathan ko tab, tune tha thukra diya,
Aur shayad ye mere punya the, mujhe usne apna liya.
Dharmakshetra Kurukshetra bani thi gyaan-Bhoomi tab,
Divya-gyaan prasaar ka, bana tha main nimitt jab.
Han Nandlaal meri dhaal, peechhe Anjneya the,
Niyati vineet thi ki dono, vandniya niya the.
Dharmasheel gyaani tu, nishchit hi shaktiveer tha,
Par vidambna yhi hai ki, adharmi tera paksh tha.
Kshama karna anuj ko apne, vadh tera karna pada,
Dharma-sthapna ke liye, dharma-nirvahan karna pada.
Han kan-kan is Bhoomi ka Karn-Karn rat-ta hai,
Aur bhi shoorveeron ke ye rakt ka mehakta hai.
Parth mein swayam ko bas ek sookshm beej manta,
Maali toh mera Madhav hai, jo Dharma vriksh ropta.
Arjun toh bas ek Dhanush hai, jiski thi pratyancha chadhi,
Parantu usko kheench ke Mahabharat Madhav ne rachi.
Na Sharyagatha ki aasha, na prashansa ki Abhilasha hai,
Ye swayam Indraputra bhi, bas Krishn-prem ka pyasa hai.
Is Kurukshetra ki Bhoomi ke, ek kan mein Arjun na sahi,
Par Parth ki tanbhoomi dekh, kan-kan jaha hai Krishn vhin !!
By Shreya Sharma

Comments