Pariyo Ki Kahani
Updated: Jul 11, 2025
By Roy Harwani
Kamyaabi ke mai sapne hi dekhta reh gaya,
Jisne jo kaha, mai sab kuch seh gaya.
Chala gaya, jise maana tha apna,
Chhodte waqt na jaane kya kuch keh gaya.
Zindagi pariyon ki kahani nahi, mai samajh chuka hu,
Jitna waqt barbaad karna tha, mai kar chuka hu.
Jeena chahta hu mai ab har pal ko,
Kisi khaas pal ke liye ab mai na ruka hu.
Karunga mai jo mujhe karna hai,
Jeeunga mai jaise jeena hai.
Karna tha jo humesha se, ab mai karunga,
Karunga, kyuki ab na kisi se darna hai.
Samajh gaya mai, mai kaha galat tha,
Sabke jaisa nahi, mai thoda sa alag tha.
By Roy Harwani

Comments