Pahado Se Seekha Hai
By Sunil Bijalwan
Pahado ko kareeb se dekha to smjh aaya,
Ki apne door chaley jayein to kaisa lgta hai.
Ye patthar chubhtey hnge anjaan logo ko,
Mujhe to apne shareer ka hissa lagta hai.
Ek umr hui ki in paedo pe kisi ne hath nahi fera,
Yahan ka hr darakht pyaar ka bhuka lagta hai.
Ek pahaad banzar pada hai kahi,
Or ek pahaad pe har saal mela lgta hai.
Ye insano ke bnaye jungle bedrd hai,
Paedo ke jungle m hr koi apna lgta hai.
Tum bnalo duniya kitni bhi sundar,
Bina paedo ke sb kuch adhura lgta hai.
By Sunil Bijalwan

Comments