By Samyo Ranjan Jagdev
Ye nigahein uss paar dekh,kya bolti;
Andhere mein saji, sitaron ki chamak;
Iss Suhaane manzar ko dekh,kya bolti;
Aur waadiyon ko dekh,aankh sekna,
Khule ujaale mein lagti khub hai;
Aji andhere mein guzre,apno ko dhundna,
Iss sukun pe kya bolti;
Aur bachpan mein sikhaye,Kai kisse hai mann mein;
Bas baith ke, aas-paas humari aakhein hai tatolti;
Yaar akele mein sirf,dhyaan se sunna;
Ye khaamoshi bhi,hai bohot kuchh bolti;
Bas aise hi mai,kuchh kahaniyan boon raha tha;
Bohot dino baad,kuchh zehen mai aaya tha mere;
Isiliye bahar apne jharoke se dekh,
mai Kalam ki jagah, nigahon se likh raha tha;
By Samyo Ranjan Jagdev
留言