Nibha Paoge Kya?
- hashtagkalakar
- Mar 10, 2023
- 2 min read
By Manisha Singh
Suno kuchh kehna hai tumse, sun paoge kya?
Waqt hai tumhare pass, de paoge kya?
Baat thodi gehri hai, samajh paoge kya?
Baatein din mein tumse zyada hone lagi hai,
Meri raatein bhi sambhaal paoge kya?
Hasti toh main bahut hoon, mujhe khush bhi rakh paoge kya?
Mujhe darr lagta hai iss matlabi duniya ke logon se,
Tum mujhse bina matlab ke matlab rakh kar, mera ye darr mita paoge kya?
Sehem si gayi hoon ye jaan kar ke sab ek jaise hai,
Par tum alag ho, iss baat ka ehsaas mujhe dila paoge kya?
Main gir chuki hoon, phirse utha paoge kya?
Toot chuki hoon, pehle jaisa kar paoge kya?
Bikhar chuki hoon, samet paoge kya?
Jo vishwaas main kho chuki hoon,
Mera woh vishwaas ban paoge kya?
Jo pyaar main apne dil main kahi dafna chuki hoon,
Use phirse jaga paoge kya?
Mere har lafz ki, har shabd ki, har baat ki kadar kar paoge kya?
Nahi chahiye mujhe tumse mehnge gifts, chocolates, teddy...
kuchh bhi nahi chahiye,
Par kya apne din aur raat de paoge kya?
Pagal si hoon thodi...
kabhi kabhi badi badi galtiyon ko bhi maaf kardeti hoon,
To kabhi chhoti chhoti baton par bhi naraaz hojati hoon.
Par tum ye chhoti badi chhodo, baat koi bhi ho.
Par mere roothne par mujhe humesha mana paoge kya?
Bolti to main bahut hoon,
Par sirf meri baaton ko hi nahi,
Meri khamoshi ko bhi utni ehmiyat de paoge kya?
Aksar sab kuchh keh jati hoon main,
To kabhi nahi keh pati un baaton ko jo dil me kahi reh jati hai.
Tum unn ankahi baaton ko,
Mere bina bole samajh paoge kya?
Main bass do-chaar kadam nahi chalna chahti tumhare sath,
Tum batao mere sath door tak chal paoge kya?
Mujhe yahan-wahan idhar-udhar tak ka safar tay nahi karna tumhare sath,
Tum mere sath aakhiri saans tak ka safar tay karpaoge kya?
Tum par aankhein band kar ke bharosa karungi main,
Tum bhi mera vishwaas kar papge kya?
Galtiyaan bahut karti hoon main,
Par tumhara dil nahi dukhaungi,
Tum batao mere dil ka khayal rakh paoge kya?
Bass kuchh hi logon ko apni duniya maanti hoon main iss duniya mein, parivaar aur Mahadev.
Mere liye inka maan rakh paoge kya?
Chhoti chhoti baaton se main khush hojati hoon,
Par chhoti chhoti baatein mujhe dard bhi deti hai.
Kuchh aisi si hoon main, mera dhyaan rakh paoge kya?
Tum bass mujhse bahut-bhut pyaar karna,
Tumhari chhoti se chhoti khushi ka dhyaan main rakhungi.
Tum bass jhooth mat bolna aur bharosa mat todna,
Pakka wala vaada main tumhe seene se laga kar rakhungi.
Mujhe tumse,
tumhare pyaar aur waqt k alaava kuchh bhi nahi chahiye.
Baaki tum bolna, main tumhe jaan bhi dedungi.
Tumhe ye baat shayad jhooth lage ya ho sakta hai ajeeb lage,
Par sach kehri hoon tum bass mujhse wafa karna,
Main tumhe apna bhagwaan maan kar rakhungi.
Ab aajaao bahut time se intezaar hai tumhara,
Or dekho chhod kar to sab jaate hai,
Par tum mujhe apne sath apne ghar lekar jaa paoge kya?
Or haan...!!
Mere saath aage tab badhna jab khudko is sawal ka haan mein javab de sako ki,
Main ye sab nibha paunga kya?
Itna kuchh keh chuki hoon, kaafi hai?
Ya aur samjhau kya?
By Manisha Singh