Naya Rukh
By Shradha Jindal
Meri saari namakiyan
Meri saari hasaratein
Meri ta-Umr ki khwaahishein
Meri wo besabriyaan
Meri wo beadbiyan
Mere wo faisle
Main sab paar kar aayi
Main jeet haar kar aayi
Main ab ek naya rukh ikhtiyar kar aayi
Meri wo shartein
Meri wo harkatein
Wo mera deewana pan
Mera saara boojh
Wo akelepan mein khud ki khoj
Wo saari ladaayi fir har roz
Main sab paar kar aayi
Main jeet haar kar aayi
Main ab ek naya rukh ikhtiyar kar aayi
Wo namumkin manzilein
Wo milon lambe ke kafile
Wo meri mayusiyan
Mere adhure manzar
Apna sar rakhti kis kaandhe par
Main tamam sawalon ke jawab adhure chod aayi
Main sab paar kar aayi
Main jeet haar kar aayi
Main ab ek naya rukh ikhtiyar kar aayi
Apne aap se hi wafa ki aarzu thi
Apne aap se mohabbat ki justjajoo
Maine khud se aashiqi mein maat khaayi
Mere tute honsle
Mere apno se faasle
Wo anjan se rishte
Main sab paar kar aayi
Main jeet haar kar aayi
Main ab ek naya rukh ikhtiyar kar aayi
By Shradha Jindal

Comments