Nakaabon Ki Teh
Updated: Jul 18, 2025
By Hitesh Narula
Chehre par ek mukhota pehen kar,
Pesh karte hain woh humein apne kirdaar,
Parde ke peeche jab mukhota hat jaye,
Tab doosri teh par hota hai ek aur nakaab,
Koi karta hai ginti inki bhagwaanon mein,
Toh kisi ki nazaron mein hain woh badnaam,
Par jo hat jaye mukhota,
Jo hat jaye nakaab,
Toh aakhri teh par reh jata hai bas ek insaan..
By Hitesh Narula

Comments