By Kalpana Gupta
Chand ki tarah sheetal
Par samjhi jati peetal
Sooraj ki aag si jalti
Nahi dikhti kabhi jhulasti
Toote taare ki tarah khud toot jati
Par ichchae sabki puri kar jati
Amber ki tarah failaye apna anchal
Par khud ki jagah jese kajal
Ganga ki tarah hoti hai pawan
Par uske liye nahi koi sawan
Dharti ki tarah sakht, nahi khoti kabhi dheeraj
Par uske liye nahi bahae koi neeraj
Pariwar ke liye khadi chattan banker
Khud rehti jese mom pighalkar
Sewa me ho jati leen jese chal rahi hawa
Par uske dard ki nahi kisi k pas dawa
Nari ko adishakti hai bataya
Duniya me har koi nahi samajh paya
By Kalpana Gupta
Comentários