Mizaaj kuch yu hai
By Himanshu Bairwa
Ajeeb aur asehniye
Haal hai ab
Khudke baare sochna pasand nahi
Kisike ke baare sochne ka mann nahi
Yuhi kabhi khayaal aata hai
Kyu hu aisa ye sawaal kr jaata hai
Jawaab janna nahi chahta
Bas gaayab hona chahta hu
Kisi ko na yaad rahu
Kisi ko na yaad karu
Khudko bhi bhul jaana chahu
Sunn ho jaye ye dil-o-dimaag
Thanda pad jaaye shareer itna
Mehsoos na ho kisi ki nafrat ya pyaar
Mizaaj kuch yu hai aaj kal
Bhatakana bebas bana raha hai
Shaant ho jau kisi bhi pal yahi dhaura raha hai
Ungliyan na chale na chahu likhna
Likhna fir bhi band na kar pau
Mrityu ke baare sochke khush hota hu
Simat jau usme bas itna hi chahu
Sard se dil ko agni ki apeksha nahi
Paanv zameen se uthe aur antriksh mein chala jau
Zameeni haqeeqat se waakif hu
Is zameen mein hi dhhas jau
Dakshin ki aur koi kheeche
Mein uttar ki aur bhaaga jau
Sawaal abhi bhi yahi hai
Uttar koi mila nahi
Kya antariksh se prem hai mujhe ya dharti mein hi sama jau
Mizaaj kuch yu hai aaj kal
By Himanshu Bairwa

Comments