By Shradha Jindal
Kahani mere hai
To kahungi bhi main
Dard mera hai
Aur sahungi bhi main
Tum ho kaun
Tumhara wajood kya hai
Tum maun the kal
Aur na maujood ho aaj
Meri pehchaan khud se
Meri udaan khud se hai
Meri wafa khud se hai
Mere daga hogi to bhi khud se
Maine khud ko Kho ke
Main ko paya hai
Meri tanhaaiyon mein
Khuda ka hamesha saaya hai
Meri raahein ab zameen se aasman ko jaati hain
Meri himmat mera honsla dikhalati hain
Meri udaan milon lambi hai
Meri kamayabi ki khabarein dil mein utar jaati hain
Main aatish hun
Main aashq bhi hun
Main waqt ke saath bada hua
Ek vriksh bhi hun
Main taaron si chamkati hun
Angar si dehekti hun
Gulab si mehekti hun
Chidiya si chehekti hun
Main hoon
Mera astitva maine banaya hai
Zameen se uthke
Aasman ko apnaya hai
By Shradha Jindal
ความคิดเห็น