Mera Zikar To Kahin Aya Hoga
By Kashif Ehmed
mera zikar to kahin aya hoga
jab tune apna humsafar naya banaya hoga
jab fiza mohabbat ki tujhse roo-ba-roo hui hogi
mujhse aakhri mulaqaat to tujhe yaad aayi hogi
jab faisla apne haq ka tune diya hoga
tere shola-e-posh labhon ne ek naam to chupaya hoga
na zer kar paya mein nigah dekh kay mehvash chehra tera
zeba-e-tan kiya tune jab hara lehnga tera
bhar kay aankhon me usko jab basana chaha hoga
muhaal hai mera khayal na aya hoga
aya hoga.. mera zikar to kahi aya hoga
jab tune apna humsafar naya banaya hoga..
By Kashif Ehmed

Comments