Mera Bharat
- Hashtag Kalakar
- Jan 10
- 1 min read
Updated: Jul 16
By Tanishq Srivastava
Jis bhoomi pe liya hai janam isko pranaam
Iss desh ki mitti pe hume bhaut abhimaan
Jisne bhi liya naam hai diya sam-maan
Padharo maare desh Hai Bharat iska naam
Saanskritik dharohar, bhasha ke bina baaten
Rango, ka mela, diwali, ki raatein
Eid ka ho chaand chahe Christmas ki lightein
Gum ho ya khushi sab milke hum baatein
Rangeen si sadke bhavya mahal hain yahan
Suraj ki chamak chaand se roshan aasmaan
Geeta ka gyaan (ya) Quran ki numaish
Itna khoobsurat, mera Aisa hai jahaan
Unity in diversity, our strength so bold,
A mysterious country with history untold.
Legacy that shines in the stories we're told,
In this song about India, let the truth unfold.
Maurya samrajya se le kar Gupta vansh ka uday
Vikramaditya se lekar Harsh ke samay
Ashok, ki shaanti, Chanakya, ka gyaan
Yahan ka itihaas, koi bhi nahi hai murkh gyaan
Mughal samrajya ka aagman Taj mahal ki misaal
Vibhajan ke bavjood sabme ekta ka vishwaas
Swatantrata sangram, Gandhi ji ka sapna
Bharat ke tihaas mei sabhi veeron ka sam-man
Vedon se aai gyaan ki dhaara
Rago me ubaal, javanon ne jab naam pukara
Bharat ka itihas, rangeen kahaniyon ka bhandara
Dharam ki hui jeet kaise adharm haara
Padharo maare desh yeh ek pyaara jahaan
Yahaan ki khushboo yahan ki mehfil-e-daastaan
Atithi Devo Bhava, Vasudhaiva Kutumbakam
Itna saara pyaar tumhe milega kahan
Jis bhoomi pe liya hai janam isko pranaam
Iss Desh ki mitti pe hume bhaut abhimaan
Jisne bhi liya naam hai diya sam-maan
Padharo maare Desh Hai Bharat iska naam
By Tanishq Srivastava

Comments