top of page

Mehtaab.

By Drishti Kedia


Mehtaab ke saath bohot ishq laraya hai,

ab tere aankhon meh Chaand dikhta hai.

Teri khaamoshi bhi in alfaazon se badhkar hai

ke yeh dil dehleez par tera naam likh baitha hai.

Aaj in adhoore, bikhre hue lafzon meh tera naam mai joh chupau,

Ghalib jaanta hai ke tere naam ka mai paristar hu.


Pardes ke zubaan mera naam aksar lete hai,

lekin mai sirf teri awaaz ki or ghar talaashu.

Namaaz meh tera naam khoju, 

dua teri maangu,

ishq meh toot chuka, pyaasa hu,

ab toh tu apne aangan bula le.


Mehtaab ke saath bohot ishq lara liya,

Aaftaab meh jal chuka hu.

Zamaane ke saamne izzat kho baitha hu 

aakhir shayari meh ikhlaqi galtiyon ko Khuda ka roop batata hu.

Tere zubaan meh Masjid khada kar du,

bas ek baar is aashiq ka naam lele.

bas ek baar is aashiqui ko itminaan de de.


By Drishti Kedia


0 views0 comments

Recent Posts

See All

The Battlefield

By Adil Raziq Wakil Forward. I must keep moving forward. Can’t look back. Can’t change lanes. Forward. I see the end. If only I could...

The Clothes They Left Behind

By Akanksha Patil The Sweater I keep his sweater, frayed and old, A warm embrace on nights so cold. He held me close, I held him tight,...

Comentarios

Obtuvo 0 de 5 estrellas.
Aún no hay calificaciones

Agrega una calificación
bottom of page