By Rida Quddos
Kholo apni mann ki khidki,
Rooshni ko khushaamadeed kaho.
Apnae aap sae pyaar karo,
Duniya sae pyaar hojaeyga.
Zindagi kitni haseen hai,
Mazzae sae jiyo.
Har rang ko apnao,
Har dhung sae jiyo.
Mae sahi hon,
Tum bhi sahi hon.
Galath toh tang soonch hai,
Apni soonch ko saaf sutra rakho.
Dil mae kitna pyaar bhara hai,
Thoda sa toh jhalka do.
Pyaar hi har marz ki dawa hai,
Phir darr kis baath ka hai.
Khuda is Jahan ko chalata hai,
Us par bharosa toh kar kae dheko.
Jis nae din ko raat mae badla hai,
Uss sae khuch maang kar kae toh dekho.
Nafrath ka libaas tum joh ooday huwae ho,
Uss mae thoda sa ittar toh laga do.
Shayad is ittar ki Khushboo sae,
Tumhari rooh aur soonch mahek utahe.
Deana seekho,
Khudbakhud sub mil jayega,
Lena toh hum sub ko aata hai.
Is duniya sae hamae bahut shikayaetae hai,
Shikwa shikayaetae toh bahut Karli humane,
Chalo khooshiya baathae hai,
Is duniya ko phirsae jeenae kae layaq banatae hai.
By Rida Quddos
Well written!!!
Very well written...
good
Very insightful, thought provoking and well written.