Maalik.
By Drishti Kedia
Tu ek nazm hai
jo shab-o-roz bikhar jaata hai
aur apne ishq ko ek aur baar
na-muqqamal hote dekhta hai.
Par ek dafa, ek lamhe meh tham sa ja,
agar bikhra toh ikkhata bhi ho
aur anjaam de apne aap ko;
kyon duniya ki parwaah hai tujhe
jab khud ka dil iss qadr ro raha hai?
Tu ek kahaani hai
jo shab-o-roz badalta hai
aur apne ishq ko ek aur baar
muqqamal hote dekhne ki chahat rakhta hai.
Par ek dafa, ek lamhe se takra
aur bikhar jaa;
maalik ko ikkhata karne de
usko tujhe anjaam dene de.
kyon khud ki itni parwaah hai tujhe
jab tune apni kahaani uske haath kar he di hai?
By Drishti Kedia

Comments