Maa Mera Jahaan
By Nazia Ali
Na jane kya maslahat thi us khuda ki....
Jisne bheja tha mujhe is rooh-e-zameen pr..
Aayi thi mai is jahaan me tanha rote- rote, Apni taqdeer apne nanhe hatho me leke ..
Khushnaseebi hai meri, jo mujhe itni achi Maa mili...
Aate hi uski go'd me ik nayi jahaan mili..
Sikhaya Maa ne ek-ek kadam chalna ,taki mai nek raste pe chalu..
Sikhaya ek-ek lafz kehna ,taki mai ek nayi awaz bn saku...
Har mod pe usne Diya sath mera...
Har bheed me thama hath mera ...
Jab kabhi Maine thokar khayi..
Mai ne hi Kiya mera hausla afzaai..
Afsos hai khud par jo maine kabhi Maa ka Dil dukhaya.
Bhula kabhi un baato ko, jo meri Maa ne sikhlaya..
Aye khuda tu karna mujhe maaf ya fir de dena saza ...
Gar kiya ho galti maine jaanbujh kr ya ho gyi ho bewajah ...
Ye Duaao ki bheed me ek Raaz ho ..
Har bachche ke Dil ki Awaz ho....
Aye khuda salamat rakhna har Maa ko...
Har Maar ki umr daraaz ho ...
By Nazia Ali

Comments