Love Poetry
By Harsh Goyal
Mushkuraye toh hum bhi
Muskurane ki wajah nhi hoti
Pyaar me paglaye toh humbhi
Ab haar cheej bewajah toh nhi hoti
Socha tha na kabhi dil se daga karenge
Na kabhi kisi se mohabbat karenge
Lekin jab dekha tha unko pehli dafa
toh shaitano ne bhi rasta badal liya
Dekhi aisi aprasa ki dil ne bhi apna yeh jazba badal liya
Aankhon me utri ek husn ki pari
Jisse dekh iss sehezade ne bhi jene ka tarika badal liya
Jene ka tarika ...... Badal liya tha
Jab dekha tha usko pehli dafa
Ke jab dekha tha usko pehli dafa
Toh mastisk me antarduand chaya tha
Ke hai woh koi apsara insaan ya jadugarni
Haye kudha tune kisi ko itna bhi Sundar kaise banaya tha
Itna bhi Sundar....kaise banaya tha
Dekhte hi usko samay rukh gya
Aankhon pe tha mere focus lag gya
DSLR ki tarah me taak ta usko jata tha
woh hi woh dikhti har jagah ab na kuch or mere jehen me aata tha
Dekhte hi dekhte ojal woh ho gyi meri nazr se
Na jane konsi rah pe woh nikal gyi thi
Usko pehchanne ke liye nhi chahiye ab naraz mujhe
Mere dil or jehen me woh iss tarah bas gyi thi
Andar tak bas wahi samat gyi thi
Rooh ke parinde kapkapaye
Ke rooh ke parinde kap kapaye
Yeh toh bas gano me suna tha
Lekin jab hua hamare sath aisa toh andar tak shola bhavak utha tha
Lekin karo me kisi se pyaar yeh kayenat ko manjoor na tha
Ke lekin karo me kisi se pyaar nagar yeh kayenat ko manjoor na tha
Nazar utha kar dekhi toh bagal me uska beta khada hua tha
Bijli si ghir gyi or dil sa mera tut gya
Ke phir bijli si ghir gyi or dil sa mera tut gya
Ke aankh hui naam or mushurata chera mera tha Ruth gya
Phir raat me mila mera dost mujhe or uss sasure ka chera tut gya tha
Or woh sasura mere dwara puri raat Kota gya tha
Ke waiss toh hu me shanti priye
Kisi ko itni jaldi muh na lagata hu
Lekin jab baat aaye tumhari toh me apni Shanti choro sakti bhul jata hu
Or akhri me bas itna kehna chahta hu ki
Ho tum Bala khoobsurati ki
Lekin me bhi na kum kisi se napa jata hu
Ki ha ho tum Bala khoobsurati ki
Lekin me bhi na kum kisi se napa jata hu
Jo bagal me khada hai beta tumhara
Usse bhi bas sapne me mein hi yaad aata hu
Apne style se me aisa keher machata hu
By Harsh Goyal

Comments