Lifafa
By Shantanu Sharma
Subha jab meine ghar ka darwaza khola
Samne band ek laal lifafa pada paya
Dekha idhar udhar phir maine
Par kahin bhi koi nazar na aaya
Jhuk kar phir salike se main
Wo lifafa apne haanthon mein uthaya
Hua mein hairan pareshan ke
Kisi ye harkat hai, kaun isse yahan laaya
Tha naa koi naam naa pata usmai
Par uski khusbo ne sab batlaya
Le ke wo lifafa main andar chala aaya
Aur sochne laga ki kya karun mein ab
Aa rahe the bahut se khayal mere dimag mein
Par kuch sujh na raha tha mere mann mein
Bas ek sawal ghum raha tha mere zehen mein
Ki kya ye lifafa sachi main wohi hi laaye the
Agar wo hi ye lifafa le kar aaye the
To kyun bina mile mujhse chale gaye wo
Kya baat thi jo unko meri chukhat tak leaai
Aur wo kya baat thi jo wo bina mile mujhse chale gaye
Yun to ek arsa hogaya hai unse mile hue
Phir aaj kaise unhein humari yaad aayi
Wo kya baat thi jo unhein yahan tak khinch layi
Aake bhi wo mujhe mile nahi
Chood gaye ye lifafa kyun kuch kaha nahi
Kuch baat to zaroor hogi jo wo yahan tak aaye
Kya karun mein ab badi mushkil mein ye dil
Kya hoga iss lifafe ke andar malun nahi
Badi asmanjas mein hai mera dil
Kya karun kuch samjh nahi aata
By Shantanu Sharma


Comments