Kya Yahi Pyar Hai?
Updated: Feb 10, 2024
By Aman Dua
Bolna bhot kuch hai par shabd nahi
Shabd hai to samajh nahi,samajh hai to waqt nahi.
Chubti hai wo baatein saari jo keh jati tumahri ankhein,
Ya shayad mei hi galat fir is baar jo samajh na paata tumahri
baatein,baatein…
Baaton ka bhi kya zikra karu, puchkarti wahi uljhati wahi,
Mere ishq ka izhar kaho,ya maayusi ki pukaar sahi
Baatein kuch rehti unkahi.
Umeedein rakhta mei bhi kuch…
Umeedein rakhta mei bhi kuch,meri khamoshi ko samjho tum,
Sapne to dekhe meine bhi,mere shabdon ko to parkho tum.
Tu kehti hai “Hum ek hain”, fir kyu mei rota akela hu?
Kaise bata du dil ka dard jab tere bhi zakhm jhela hu.
“Dard bhara seene mei itna to fir bhi pyaar karta kyu?”
Puche sab yahi sawaal “Zakhmo ko kyu na bharta tu?”
Gulaab na darta kaato se, chand na chipta raaton se.
Aag ugalta suraj tu to tujhi se prakashit chand hu mei,
Kanteeli hai tu thodi si,
Par aakhir tujhi mei khilta gulaab hu mei.
To ab mei tujhe jaane du ya tham lu?
Jaante hue bhi anjaan banu ya maan lu,
Maan lu ki mushkilein aati hai ladaiyan hoti hai kuch kisse hasate hai
to kuch rulate bhi,par fir shayad yahi pyar hai
Tera mere nakhro ko haske seh jana,mera teri naadangi par pighal
jana,shayad yahi pyaar hai
Shayad yahi pyar hai ki saamne mushkilon ka dariya behta hai aur teri
meri ek naav hai,
Iss naav mei ched zarur hai par fir bhi ye doobti nahi,shayad yahi
pyaar hai…
By Aman Dua

Comments