Kya Hoga
Updated: Jan 17, 2024
By Sameer Parashar
Badalna hai toh poori qaaynaad badal do,
Mehez ek kamaal se kya hoga
Main sar se paaon tak bheeg chuka hoon,
Mera ek roomal se kya hoga.
Badii muflisi me guzri hain meri shayari bhari zindagi,
Mera mere isteqbaal me ek shaal se kya hoga
Aatish ka iraada ho toh mujhe bulana zaroor,
Andhon ko dikhaane ke liye mashaal se kya hoga
Har roz shab-e-hijr ne qatra nocha hai,
Ab ke jo ho visaal, toh visaal se kya hoga.
Boodhe hue toh zindagi ke bisaat ka khyal aaya,
Ki ab shah-maat dar par hai, ghodon ki dhaai chaal se kya hoga
By Sameer Parashar

Comments