Kya Ab Bhi Yaad Meri Aati Hai
By Disha Kedia Gupta
Usne poocha humse..
Kya ab bhi yaad meri aati h?
Kya kehte unse..
Kaise kehte unse
Ki hum unhe bhooley he kaha
Jo yaad kar paate..
Yaad h humme aaj b
Wo saari mulaakaatein..
Ya bata dete unhe..
Ki Harr saans, Harr dhadkan
Unka ehsaas le k aati h..
Usne poocha humse..
Kya ab bhi yaad meri aati h?
Kya kehte unse..
Kaise kehte unse..
Ki Harr pal unki
Yaad k sahaare guzarta h
Mera Harr din
Unke khayalo ki baaho mein simat ta h
Kab raat se savera ho jata h unki yaad mein
Aur fir suraj ki pehli kiran bhi
Unka khayal le k aati h..
Usne poocha humse..
Kya ab bhi yaad meri aati h?
Kya kehte unse..
Kaise kehte unse..
Ki aaina dekhte h
Toh aks unka nazar aata h..
Unka naam sunn..
Waqt wahi teher jata h..
Unke itar ki khushbu
Aaj bhi mehekti hai inn saaanso mein..
Unke sirf ek zikar se he
Aankho mein nami aa jaati h..
Usne poocha humse..
Kya ab b yaad meri aati h?
Kya kehte unse
Kaise kehte unse
Tumhare sawaal ka jawaab nai
Meri zindagi ab koi khuli kitaab nai
Tum badh gaye chaar
Kadam aage humse
Mai tumhare intezaar mein
Wahi khadi rah gai..
Lafz nahi h paas mere
Par nazre sab bayaan kar jaati h
Usne poocha humse
Kya ab bhi yaad meri aati h?
Kya kehte unse
Kaise kehte unse
Chhodo b sahab
Iss baat ko ab jaane bhi do
Yaado ka kya h..
Waqt be-waqt unhe aane bhi do..
Kho diya Haq tumne
Ki kar sako sawaal koi..
Par meri Harr ek saans
Tumhe ab b paas bulaati h..
Usne poocha humse
Kya ab bhi yaad meri aati h?
Kya kehte unse
Kaise kehte unse
Kehna toh tha bahut kuch
Par kuch kah na sake
Hum jhoothi muskuraahat de
Chupchaap Aage badh diye..
Sunn sakte agar wo dhadkane humari
Toh zaroor jaan jaate
Zinda he h hum
Unki yaado k sahaare
Harr din Harr Pal Harr lamha
Unki yaad humme sataati h
Ab bhi, aaj bhi..
Unki yaad humme aati h..
Bahut yaad aati h..
By Disha Kedia Gupta

Comments