Kuu'-E-Ehsaas
top of page

Kuu'-E-Ehsaas

By Zulqarnain


- Kinnara kash zamana, kisi se milta nahi ab Gulon mein phool aana, kisi ko dikhta nahi ab


- Toot gaye hain patte saare, sukoon milta nahi ab

Mein jitna bhi muskura lu, yeh chehra khilta nahi ab


- koi mujhse door nahi gaya, sabko khud hi door chorh aaya mein

Kisi ne roka nahi toh sabka noor tod laya mein





- Mazaar-e-dil par ab phool khil rahe hain

Kaise na khilte hum aanson dil mein sil rahe hain


- Mere khawabon mein mujhe darata koi shaks hai

Aankhon ke neeche halke aur na choti lagti ab koi shab hai


- Mere hareef aur rafeeq bhi ab ek se lagte hain

Rozana khawahishen dafna kar bhi ek nayi umeed rakhte hain.


By Zulqarnain





11 views1 comment

Recent Posts

See All

ऐ ज़िंदगी

By Abhimanyu Bakshi तुम अगर ऐ ज़िंदगी आसान हो पाती, हम तुम पर एक कविता लिख देते। ये मिलना ये बिछड़ना क्या है आख़िर, दिल रखना दिल लगना क्या है आख़िर, बताना था कि ग़म-गीन ही है किसी से भी हिज्र, हम दिल

Khalaa'

By Zulqarnain - 'Koi' toh aaya tha dene dil pe dastak Mujhe khabar toh hui par mein tha kisi aur ke saath - Mujhe toh pasand thi uski khamoshi Lekin zindagi guzaar di maine shor ke saath - Rona aata h

bottom of page