Koshish
By Kunal Sood
Zameen bhi jo thee daldal thee
Asmaan bhi jo tha ghana tha
Chatt bhi jo thee kaagaz thee
Ashk bhi jo tha fanaa tha
Janme iss jahnum si nagri mein
Yaha rehna jo tha sazaa tha
Cheelo si fitrat ka har ik shaks
Maasumiat noch khana sabka mazza tha
Bachpan he tha mera sab kuch tha
Maa ke aanchal ki jo panaah thee
Kya kuch mil gya aur khud ko kho diya
Kaamyaabi he jiski vajah thee
Sehma tha har dumm par haara nahi
Bas sehne ki ik jo kalaa thee
Aakhir haraya har uss tufaan ko
Na talne vali jo balaa thee
Kaise sawaaru har shaks ko
Duniya jahaan se mera gilaa tha
Aadat har sawaal ka jawaab dhundne ki
Dukh meri samajhdaari ka silaa tha
Koshish ki ik karvaan ke sang chalta
Par shab-o-roz angaaro par akela chala tha
Koshish ki har dukh ki loh bhujata
Par shab-o-roz angaaro par akela jalla tha
By Kunal Sood

Comments