Koi Mujhe Mujh Se Mila De
- Hashtag Kalakar
- Nov 29
- 1 min read
By Gunjan Narula
Koi mujhe mujh se mila de,
Main kahin raaston ke beech kho gaya hoon,
Na samajh aata hai kya tha main,
Na ye ke ab kya ho gaya hoon.
Chehre badalte ja rahe hain aaspaas,
Par dil wahi kahin ruk gaya hai,
Kabhi lagta hai, ye duniya meri thi,
Ab lagta hai main duniya ka ho gaya hoon,
Apne hi sawalon mein uljha,
Kisi aur ka jawab ban gaya hoon.
Kuch tha mere andar roshan sa,
Ab bas andheron ka ghar bana liya hai,
Koi toh ho jo yaad dila de,
Main kabhi khud par fida tha ye bhi bhool gaya hoon.
Koi mujhe mujh se mila de,
Bas ek baar, bina shor ke,
Main phir se jeena chahta hoon,
Apne hi jaison ke zor ke.
By Gunjan Narula

Comments