Kirdaaron Mein Uljha
Updated: Jul 18, 2025
By Hitesh Narula

Aaj kal phirta ho jaise, koi toota hua tara,
Ek zamane mein chamakta, tha woh sitara,
Kirdaaron mein uljha, bandishon ka maara,
Khud ki khoj mein tha nikla, akela woh banjara,
Apni kahani jaan ne, dusron ke darwaaze khatkhatara,
Kabhi bolne se, kabhi sunn ne se, kabhi dekhne se ghabrata,
Kaash apni kahani likhne ka, dusron se na liya hota sahara,
Toh aaj kirdaaron mein itna uljha, na hota bechara..
By Hitesh Narula

Comments